We bring to you a list of the most memorable dialogues of the Bollywood actor “AKSHAY KUMAR”.
1) Peene ki capacity, jeene ki strength, account ka balance aur naam ka khauf … kabhi bhi kam nahi hona chahiye – Once Upon A Time In Mumbaai Dobara
2) Duniya mein shayad hi aise koi maa baap honge joh apni aulaad ko zakhm dena chahenge … lekin na jaane kitni aisi anginat aulaadein hai … joh apne maa baap ka seena zakhmon se challi kar dalti hai aur uff tak nahi karti – Dhadkan
3) Kiski majaal joh chede dilair ko … gardish mein gher lete hai geedar bhi sher ko – Ab Tumhare Hawale Watan Saathiyo
4) Maa ke doodh mein toh dum hota hi hai … chahe woh Hindustan ki ho ya Pakistan ki – Ab Tumhare Hawale Watan Saathiyo
5) Mohabbat woh mohra hai jiski wajah se bade badhon ko maat mili hai – Once Upon A Time In Mumbaai Dobara
6) Khiladi tha … ab pura khel hoon – Once Upon A Time In Mumbaai Dobara
7) Duniya mein teen cheezen hoti zaroor hai lekin kisi ne dekhi nahin … bhooton ka sansar, sacha wala pyar aur Bahattar Singh ki raftaar – Khiladi 786
8) Don’t angry me! – Rowdy Rathore
9) Boss ka khoon bolta nahi, khaulta hai … aur jab yeh khaulta hai … toh yeh boss ek ek ko phodta hai – Boss
10) Tirchi nigaahon se na dekh aashiq-e-dilgir ko … kaise teerandaz ho tum, zara seedha toh karlo teer ko – Ab Tumhare Hawale Watan Saathiyo
BY RAVI AGNIHOTRI
20 Comments