Prasoon Joshi is the Chairman Asia Pacific &CEO of McCann Worldgroup India. He is also a Writer, Poet, Lyricist, Screenwriter and Advertising guru.
Gearing up to make mistakes is the preferred route to take, rather than look for the escape button. – Prasoon Joshi
Is Baar Nahin
Is baar jab woh choti si bachchi mere
paas apni kharonch le kar aayegi
Main use phoo phoo kar nahin behlaoonga
Panpaney doonga uski tees ko
Is baar nahin
Is baar jab main chehron par dard likha dekhoonga
Nahin gaoonga geet peeda bhula dene wale
Dard ko risney doonga’ utarney doonga andar gehrey
Is baar nahin
Is baar main na marham lagaoonga
Na hi uthaoonga ruee ke phohey
Aur na hi kahoonga ki tum aankhein band karlo,
gardan udhar kar lo main dawa lagata hoon
Dikhney doonga sabko, hum sabko khuley nangey ghaav
Is baar nahin
Is baar jab uljhaney dekhoonga, chatpatahat dekhoonga
Nahin daudoonga uljhee dor lapetney
Uljhaney doonga jab tak ulajh sake
Is baar nahin
Is baar karm ka hawala de kar nahin uthaoonga auzaar
Nahin karoonga phir se ek nayee shuruaat
Nahin banaoonga misaal ek karmyogi ki
Nahin aaney doonga zindagi ko aasani se patri par
Utarney doonga usey keechad main,
tedhey medhey raston pe
Nahin sookhney doonga deewaron par laga khoon
Halka nahin padneydoonga uska rang
Is baar nahin banney doonga usey itna laachaar
ki paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jaye
Is baar nahin
Is baar ghawon ko dekhna hai
Gaur se thoda lambe wakt tak
Kuch faisley
Aur uskey baad hausley
kahin toh shuruat karni hee hogi
Is baar yahi tay kiya hai…
[PRASOON JOSHI]
One Comment