Hindi Diwas is celebrated on 14th September 2014. Hindi is known as the 2nd most commonly spoken language of the world. Awards are distributed by the President of India to the people in different fields related to Hindi at the Vigyan Bhawan in New Delhi.
Don’t miss to check : Latest SMS, Wallpapers : Happy Hindi Diwas 14th September 2014 / World Hindi Day / Hindi Day 2014
Here we present Hindi Diwas / Hindi Day Poem, Essay Free Download 2014
Is varsh bhi hum Hindi Diwas mana rahe hain
Hindi main kaarya karne ka sankalp dohrah rahe hain
Agle din hindi chhod angreji apna rahe hain
Fir bhi shaan se hum hindi premi kehla rahe hain
Â
Hum kab tak ye Hindi Diwas manate reh jayenge
Hindi main kaarya karne ka sirf sankalp dohrate reh jayenge
Hum kab tak maa ko mom, baap ko dad banate reh jayenge
Hum kag tak apni Hindi maa ko thukrakar,
Videshi Angreji mummy ko apnate reh jayenge.
Â
Pichhle varsh jab humne Hindi Diwas manaya
Maine sachhe mann se angreji chhod hindi ko apnaya
Apne aap ko kuchh kathinaiyon mein hi paya
Â
Maine auto rickshaw wale ko hindi main batlaya,
Kya vishvavidyalaya le chalo ge bhai
Usne mujhko samjhaya,
Yahan to koi vishvavidyalaya hi nahi hai
University jaldi pahunchna tha jab batlaya,
To usne jhallate hue batlaya,
Kyo Angreji main vishvavidyalaya kahe ja rahe ho
Apna tatha mera waqt barbad kiye ja rahe ho
Hindi main University kahne se kya darte ho
Lagta hai apni hindi bhasha se prem nahi karte ho
Â
Ek din shaakha prbandhak ko hindi main patra likha
Ant main kirpya pawati sheeghra bheje maine likha
Shayad mujhse pawati ki jagah parwati type ho aaya
Kyonki agle din parwati ko apne kaaryalya mein paya
Usne socha, maine uska majak udaya
Isliye aate hi wo mujhpar gusse se chillayi
Maine maafi mangkar usse jaan chhudwai.
Â
Prabandhak ne mahila adhikari ko D.O. patra likhwaya
Maine my dear ki hindi meri priye banaya
Tatha patra shaakha mein sheeghra bhijwaya
Yeh patra bhi mere liye musibat hi laya
Kyonki agle din uska pati kaaryalaya mein aaya
Aate hi wo mujhpar gusse se chillaya
Meri priye likhne ko usne gambhir mamla batlaya
Maine maafi mangkar usse peecha chhudwaya.
Â
Is tarah sachche mann se jab maine angreji chhod hindi ko apnaya
Apne aap ko bhaari musibaton mein hi paya
Fir bhi hindi mein kaarya karne se nahi ghabraya
Mai hindi me nirantar abhyaas kiye ja raha hun
Dheere-dheere kathinaiyon ko apne se duur pa raha hun
Ab main hindi me master bhi kehla raha hun
Hindi Adhikari ko hindi jo sikhla raha hun.
Â
Videshi shaan se,
 hamari bhasha seekh kar hindi vidvan kehla rahe hain
Fir aap log apni bhasha ko apnane se kyon katra rahe hain
Kirpya aap bhi is Hindi Diwas ka fayda uthao
Abhi se sachche mann se angreji chhod hindi ko apnao
Â
Shahido ne dekar apni kurbaniyan
Desh ko angrejo ki daasta se mukt karwaya
Kirpya aap bhi kuch desh prem ki bhawna dikhlao
Sabhi mil kar apni hindi bhasha ko
Angreji ki daasta se mukti dilwao
Angreji ki daasta se mukti dilwao.
11 Comments