1) Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon. – Trishul
2) Angrezon ke zamaane ke jailor, aur itni ghabrahat? – Sholay
3) Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho. – Sharaabi
4) Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain. – Sharaabi
5) Meri history janta nahi hai tu, mere shareer me haddi kam taanke zyada hain. – Department
6) Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain. – Deewar
7) Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai. – Don
8) Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai – ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne padti to shadab ho bhi sakti thi. – Kabhie Kabhie
9) Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar phool nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota – Chupke Chukpe
10) Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta. – Trishul
BY RAVI AGNIHOTRI
12 Comments